Lesson no.22 Engineering Bolt
Engineering mein machine aur equipment fix karney hetu jis fastner ka istemaal kiya jata hai ouse aap Bolt kahte hai
Types Of Bolt
1) Hook Bolt
2) Lifting eye bolt
3) T- Headed Bolt
4) Hexagon Headed Bolt
5) Squre Bolt
6) Counter sunk Bolt
7) Shakle Bolt
1) Hook Bolt:- yeh Bolt below side round hota hai ouse aap Hook Bolt kahate hai yeh bold ka upyog machine handling ke liye kiya jata hai
2) Lifting Eye Bolt:-yeh Bolt below se round Hook type hota hai iss ka upyog machine foundation mein fix karney hetu hota hai ise aap foundation Bolt bhi kaha jata hai
3) T- Headed Bolt:-iss Bolt ka aakar T jaisa hota hai bolt ke ander t-shape Katey huye hote hai ous mein Bolt fix kiya jata hai
4) Hexagonal Headed Bolt:- yeh Bolt regular Machine Shop mein bahot Jayda use Kiya jata hai iss ka head Hexagonal shape ka hota hai iska head 30 degree mein chamfer kiya hota hai iska upyog do se Jyada machine part fix karney hetu kiya jata hai
5) Squre Headed Bolt:- iss ke naam jaisa is Bolt ka head square hota hai yeh aam toar par use Kiya jata hai iska head chamfer kiya jata hai
6) Counter Sunk Headed Bolt:-iss Bolt ka upyog parts ke aander head ko rakhana ho tabh iss Bolt ka prayog hota hai
7) Shakle Headed Bolt:- yeh Bolt fork ki tarah hoti hai fork mein pin daalne ke liye hole hota hai
Yeh Bolt head ko dekh kar pahchana jata hai
Bolt ka shape head se identify hota hai
Post a Comment